Skip to main content

Phir bhi hum khash hain

  Phir bhi hum khash hain by khayal Fasle hai Kuch baatein hai Thodi narazgi hai Phir bhi hum khash hain Mulakatein hain Adhuri baatein hain Thodi yaadein hain Phir bhi hum khash hain Waqt bhi hain Tera sath nhi hain Wo cutting chai bhi hain Lakin tera sath nhi hain Woh Barish bhi hain Mere Sath mera chhata bhi hain usme bhi tera sath nhi hain Phir bhi hum khash hain Juthe waadein hain Juthe kashme hain Juthi wo teri dosti bhi hai Wo pal bhi yaad hain Bina kahe tera jana bhi yaad hain phir bhi hum khash hain Phir bhi hum khash hain

Duriyon

Duriyon

by khayal



In duriyon ne hi hume pass laya hain

In duriyon ne hi hume samjha hain



Hum dur jarur hai ek dusre seh
Utne hi hum pass bhi hai


Pata nhi kis tara din kat rahe hai
Bus roj baatein kar rahe hai
Khud ko sambhal rahe hai


Yeh fasle kuch jada  hai
Or Mulakatein bohot kum hai


Humari duriyon ne hi
Galatfehmiya ayi h
Ladaiyan kuch jada 
Hui hai
Lakin jaldi khatam ho jati hai



Jarurat bun chuke hai
Ek dusre ke
Taakat bun chuke hai
Ek dusre ke



Hume pata hai
Hum dur jarur hai
Hum milte nhi roj 
Phir bhi hum  saalo se sath jarur hai



Halat ne hi hume dur kiya
or
Halat ne hi hume ek dusre ki ahmiyat batai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sochte kyu ho itna

Sochte kyu ho itna by khayal Hum sochte hai na Kya wo humare bare mai sochta hoga Hum bus yehi kashma kashme Reh jate hai Sochne sochne main Waqt gujar jata hai yehi sochne mai Tum socho hi mat Wo kya sochte hai Tum socho hi mat  Log kya sochte hai Tab tum khul ke jee pahoge Duniya ki bina chinta kiye Khulke keh pahoge

Top 10 - HeartTouching Hindi Shayari

Top-10 Heart Touching Hindi Shayari 1 - Kitaab                                                                2 - Ansuni Baatein 3 - Duri 4 - Baatein 5 - Khayal 6 - Zakham 7 - Yeh Kaisi Nainsaafi hain 8 - Waqt 9 - Adhuri Baatein 10 - Aksar Thank You Instagram id -  https://www.instagram.com/khayal_______/ -    

Best Hindi Shayari Ever

Best Hindi Shayari Ever By Khayal 1 -  Badal "Aaj ye badal bhi shant hai Yeh bhi waqt ane peh Garaj ta hain To tum kyu har roj Garaj te ho" 2 - Waqt "Aaj akela hu koi baat nhi Takleef ho rahi hain per koi baat hi Aas liye betha hu yeh waqt badlega Lakin ye waqt itna jaldi nhi badlega Koi baat nhi kabhi to badlega" 3 - Bahana "Wo to ek bahana hi tha Sach to ye hain Tujhe jana hi tha 4- Judaa "Kuch log huve hai humse judaa aaj Puchna sahi nhi samjha humne aaj" 5-  Galatfehmi "Mulakat  karni hai Baatein Suljani hai Galatfehmi main jee rahe hain hum Bus usse suljani hain" 6 - Dor Dosti Ki "Hum to bus Wo dor dosti ki tute na Usse bachate rahe Or wo usse hi tod ti rahi" 7 - Wajah "Wajah kuch or thi Baatein kuch or huyi Tum samjhe ne kabhi Yehi tum hari galti thi" 8 -  Badnaam "Tum to badam karke Chale gaye bus Wahi dag mita raha hu" By Khayal