Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2020

Phir bhi hum khash hain

  Phir bhi hum khash hain by khayal Fasle hai Kuch baatein hai Thodi narazgi hai Phir bhi hum khash hain Mulakatein hain Adhuri baatein hain Thodi yaadein hain Phir bhi hum khash hain Waqt bhi hain Tera sath nhi hain Wo cutting chai bhi hain Lakin tera sath nhi hain Woh Barish bhi hain Mere Sath mera chhata bhi hain usme bhi tera sath nhi hain Phir bhi hum khash hain Juthe waadein hain Juthe kashme hain Juthi wo teri dosti bhi hai Wo pal bhi yaad hain Bina kahe tera jana bhi yaad hain phir bhi hum khash hain Phir bhi hum khash hain

Sochte kyu ho itna

Sochte kyu ho itna by khayal Hum sochte hai na Kya wo humare bare mai sochta hoga Hum bus yehi kashma kashme Reh jate hai Sochne sochne main Waqt gujar jata hai yehi sochne mai Tum socho hi mat Wo kya sochte hai Tum socho hi mat  Log kya sochte hai Tab tum khul ke jee pahoge Duniya ki bina chinta kiye Khulke keh pahoge

Aaj Mile The Naa

Aaj Mile The Naa By khayal Aaj mile the na hum To kal kaise bhul gaye tum Kya ye thode din ka hi tha dikhawa Thoda waqt or to gujar te sath main Shayad waqt kuch or hota Tum duniya dari se bahar aate to Muje samajh pate na Tumne to muje kabhi samjha hi nhi Or main bewakoof soch ta raha tum hare jitna samajhdar koi nahi Yeh galti ka asaas bohot der baad huva Chalo koi baat nhi Deri se huva jo huva acha huva Wo kuch din ki hi kahaniya thi Jo jaldi khatam hogyi By khayal

Best One Line Shayari

 Best One Line Shayari by khayal 1 - Khud ko samajh phale Hum har bar sochte hai hume koi nhi samajh ta Jara soch Kya tu khud ko samajh ta hai 2 - Fasle Shayad hum mil to jayenge wapas jarur kisi din Fasle jarur agaye honge us same 3 - Dar Tere na hine ka dar Phale din se tha Isliye tere jane ka dar nhi sataya 4 - Aadat Aaj khush hu main Tujhse dur hu main Ab mat ana phir se Badi muskhil se chuti hai ye aadat 5 - Tamasha Maine to bus Khamosh rheke Khud hi ka tamasha bante dekha hai 6 - Samjhaya bohot Samjhaya bohot Kiya usne kuch or Yaha apni sunta kon Hum hai ki kon

Duriyon

Duriyon by khayal In duriyon ne hi hume pass laya hain In duriyon ne hi hume samjha hain Hum dur jarur hai ek dusre seh Utne hi hum pass bhi hai Pata nhi kis tara din kat rahe hai Bus roj baatein kar rahe hai Khud ko sambhal rahe hai Yeh fasle kuch jada  hai Or Mulakatein bohot kum hai Humari duriyon ne hi Galatfehmiya ayi h Ladaiyan kuch jada  Hui hai Lakin jaldi khatam ho jati hai Jarurat bun chuke hai Ek dusre ke Taakat bun chuke hai Ek dusre ke Hume pata hai Hum dur jarur hai Hum milte nhi roj  Phir bhi hum  saalo se sath jarur hai Halat ne hi hume dur kiya or Halat ne hi hume ek dusre ki ahmiyat batai

Two Line Hindi Shayari 2020

 Two Line Hindi Shayari 2020 Khayal 1 - Aakhein Aakhein bhar ayi hai Samne wo nazar ayi hai Muh mod liya hai main ne Kyu ki samne wo ayi hai 2 - Nafrat  Agar wo mile to Usse kehna  Itni nafrat kaise hogyi 3 - Kyu tu Kyu nakli bun kar Ghum rahi hai tu Kyu dusro ke kehne par Jee rahi hai tu 4 - Sab Nakli Hai Yaha Log nakli hai yaha Duniya bhi nakli hai saali Kis peh vishwas karu Sab khokle hai yaha 5 - Dur Aesa kyu hota hai Jiska tum Kareeb aate ho Woi kyu dur chala jata hai 6 - Ghadiyaan Ajeeb hain ye ghadiya Kab khatam hojaye pata nhi

New One line shayari

  New One Line Shayari By Khayal 1 -  Akela Jab tha koi na  Diya sath tera Jab thi muje jarurat Kiya tune akela 2 - Khayal Khayal aya hai humko unka Jinko humara khayal nahi hai 3 - Teri yaadon main Teri Yaado main Bas gaye hain hum Teri tanhaiyon ho main Rehne lage hai hum 4 - Ghum Ghum hone ka ghum nhi hai Ghum mai dub jane ka ghum hai 5 - Bayaan Waqt ne kiya kuch aesa Jise koi na badal paya huva tha kuch aesa Jise bayaan na kar paya 6 - Chai ki Tapri Chai ki tapri Pe mila karte the ussi bahane Usse baat kar liya karte the Nahi jante the kon thi wo Yuhi baat kar liya karte the 7 - Aadat Bhul jana itna asaan hota to Hum to kab ke bhul jate Aadat hi to thi meri Woi meri kamjori bhi thi By khayal

Aisi thi humari dosti

Aisi Thi Humari Dosti By Khayal Safar jo humne tay kiye Jo kabhi huve nhi Waade jo humne kiye the Jo kabhi pure huve nhi Sath rehne ka  Dikhawa karte rahe Logo ke samne hum Bus dikhawa karte rahe Matlab ki duniya Main jeene lage the Dosti thi to bus humari Matlab ke liye Dikhawe wali zindagi Jee rahe the hum Jo pata hai Jada din tak nhi rehne wali Phir ek din aya Jab pata chala  Usse ab meri jarurat nhi To wo Dusro ke kehne Par jeene lagi Nafrat hone lagni Use ab mujse Apni juthi kahaniya Suna ke  Karne lagi badnaam muje Logo ke samne Bura muje dherake Khud ko acha bana ke Dikhawa karti rahi wo Humne kuch nhi kaha Phir bhi usne bohot kuch kaha Chalo koi baat nahi Hum to aaj bhi wase hi hai Kabhi jarurat pade  Tera ye dost humesa hajir rahega Halat ne hi hume dur kiye Or  Halat ne hi hume ek dusre ki ahmiyat batai By Khayal