Phir bhi hum khash hain by khayal Fasle hai Kuch baatein hai Thodi narazgi hai Phir bhi hum khash hain Mulakatein hain Adhuri baatein hain Thodi yaadein hain Phir bhi hum khash hain Waqt bhi hain Tera sath nhi hain Wo cutting chai bhi hain Lakin tera sath nhi hain Woh Barish bhi hain Mere Sath mera chhata bhi hain usme bhi tera sath nhi hain Phir bhi hum khash hain Juthe waadein hain Juthe kashme hain Juthi wo teri dosti bhi hai Wo pal bhi yaad hain Bina kahe tera jana bhi yaad hain phir bhi hum khash hain Phir bhi hum khash hain
Sapna hi tha by khayal Aaj humne kuch baatein kiye Bhale hi nindo main baatein kiye Lakin aaj humne baatein jarur kiye Khud hi ek dusre ko dekhe Hase ja rahe the Aakho se aasu beh rahe the Muskurate huve aasu ko behne de rahe the Phir gale lakke khud ko bhela rahe the Uss same humne ek dusre ki Galtiya nhi sunayi Bus hum uss pal ko jee rahe the Baki baatein bhula ke Khul ke jee rahe the Ek dusre ke aasu saaf karke Ek kinare pe jaa beth gaye Haatho mai chai liye Gile sikhwe dur kar rahe the Kaash ye hakikat hoti To baat alag hi hoti Lakin yeto ek sirf sapna tha Jisse salo hogye baat nhi kiye Aaj ye sapne ne pura kar diya Log khete hai na sapne pure hote hai Dekhte hai ye sapna pura hota hai ki nhi